TELEGRAM KYA HOTA HE |TELEGRAM ME ACCOUNT KAISE BANAYE

Dosto aaj kal ke time me sabhi log na chahte huye bhi koi na koi social media

platform use karte he chahe wo message ke liye ho ya online shopping ke liye ho ya fir online business hi q na ho social media logo ka jewan me ek bahut hi important role play karta he.

Aur aaj hum aapko apne is article ke madhayam ke ek aise hi social media 

platform ke bare batane wale he jo ki log apne jewan me roj marra ke jewan ke 

liye upyog karte he us social media platform ka nam telegram he telegram ke 

bare ke lagbhag kafi log jante he ki telegram kya hota lekin kafi logo ye bata 

nhi he ki telegram kya hota he.lekin aaj hum aapko apne is post ki sahayata ye telegram ke bare me batane wale he..

Telegram kya hota he???


Telegram kya hota he??

Telegram ye sabse pahile iOS ke liye 14 August 2013 ko launched kiya gya aur 

iOS ke bad Android user ke liye bhi ise lagbhag 2 mahine bad 20 October 2013 ko 

launched kar diya gya tha. Telegram WhatsApp ke jaisa hi ek messageing 

application he jaise aap WhatsApp me apne kisi dost family members ya group 

chatting karte ho isme bhi aap thik ise Tarah aap chatting kar pawoge chatting 

se sath sath aap isme viedo call voice call bhi kar sakte ho.lekin telegram me 

kuch khas features hota he jo ko telegram ko WhatsApp se bilkul alag banata he un sabhi features ke bare me hum aapko batana wale he.

Ye to aap samjha hi Jaye hoge ki telegram kya hota he.ab hum aapko batane wale 

he ki aap telegram me apna account kaise create kare.

Telegram me account kaise banaye???

Telegram kya hota h??


Telegram me account kaise banaye uske bare me hum aapko niche step by step batane wale he.

Telegram me account banane ke liye aapko sabse pahile apne Android ya iOS 

device me ise Play Store se download karna hoga.

Jaise hi aap telegram download kar lenge.uske bad aapko apne mobile me telegram open karna hoga.

Step1- ab aapko apne device me telegram open karna hoga jaise hi aap telegram 

open karenge aapke samne start message ka option aayega uspar aapko tap karna hoga.

Step2- jaise aapk start message par tap karenge telegram aapke kuch permission 

mange ga aapko continue par tap karna he uske bad fir te telegram permission 

mange ga aapko allow par click kar dena ye bilkul safe he jaise hi aap allow 

par click karenge aapke samne country select karne ka option aayega aur mobile 

number fill karne ka option aayega aapko apna country India select karna he aur 

mobile number me apna mobile number fill karna he uske bad continue par tap 

karna he uske bad fir continue par tap karna uske bad kuch permission mangega 

sare permission aapko allow kar dena he ye sab bilkul safe he.

Step3- jaise hi aap apna mobile number aur country select karenge aur sare 

permission allow uske aapka mobile number verify Kiya jayega uske kuch second 

bad aapko verification call aayega aapko call pick up nhi karna he telegram automatic he sab verify kar lega.

Step4- call verification ke bad aapke samne next page jo hoga profile 

information aapko ye sab fill karna hoga iske liye aapko 2 box show hoga first 

me aapko apna first name fill karna he aur dusra box me apna last name fill 

karna hoga agar aapko apna profile photo lagane he to aapko profile info ke 

uper aapko photo ka option milega up par click karke apna profile photo select 

kar lena he uske bad aapko niche right corner me ek blue botton par click karna hai

Ab aapka telegram account ban chuka he aapke samne welcome to telegram show 

hoga aapko kuch second wait karna he aur uske bad kuch permission aayega aapko 

sare permission allow kar dena he.usek bad aapka sara contact show karega Jo 

log aapne contact me telegram use karna he un sabhi ka contact aapke samne aa 

jayega. Ab aapko jise bhi telegram se message send karna he us contact par 

click karna he aur uske bad aap bare hi aasani se use message vej pawoge.

To uper humne aapko bayata ki telegram me kaise account banaye. Ab hum aapko batane wale he ki telegram WhatsApp se alag q he.

Telegram aur WhatsApp ke kya anter he??

#1. Pahile hum whatsapp ki bat karte he whatsapp me aap ek bar me sirf 5 loge 

ko hi message send kar sakte ho lekin telegram me aap ek sath jitne chahe utne logo ko message send kar sakte he.

#2. Whatsapp me aap status laga sakte he lekin telegram me aap status nhi laga sakte he.

#3. Telegram Russian application he jabki whatsapp ek American application he.

#4. Whatsapp me aap sirf un logo ko hi message kar sakte he jiska aapke pass 

number he lekin telegram me kisi ko bhi message kar sakte he uska user id search kar ke.

#5. Telegram me aap apna number hide kar sakte ho lekin whatsapp me aap Apna search kar ke.

#6. Whatsapp ke group me members add karne ki limit hoti he lekin telegram ki 

group me aap lagbhag 2lakh members ko add kar sakte he.

#7. Whatsapp me aapko payment karne ka option milta he jo ki whatsapp me aapko ye feature nhi milt he.

#8. Telegram me aap apna telegram channel bana sakte he lekin whatsapp me aap channel nhi bana sakte he.

#9. Whatsapp 2009 me launched kiya gya tha aur telegram 2013 me launched kiya gya tha.

#10. Telegram me aapko cloud message ka service mil jata he jo ye features aapko whatsapp me nhi milta he.

To ye thi kuch khash anter whatsapp aur telegram me.

Ab hum aapko kuch khas features batane wale he jo whatsapp se bilkul alag he.

Telegram ka advance features

#1.agar aap whatsapp se kisi ko koi photo send karte he to us photo ki quality kharab ho jati he

Lekin telegram me Aisa nhi hota aap jaisa photo send karenge receiver ko bilkul waise hi quality milegi jaisa aap send Kiya tha.

#2. Telegram me aapko apna mobile number hide karne ka option mil jata he jo ki ye security ke liye bhaut hi aachi bat he lekin aapko number hide karna ka option whatsapp me nhi hota he.

#3. Whatsapp me aap ek sath ek hi account ko chala sakte he lekin telegram me aap ek se jyada account chala sakte he.

To dosto ye thi kuch khas features telegram ki jo telegram ko WhatsApp se bilkul alag banata he he.

Uper aako humne telegram ke kuch khas features bataya he. Lekin ab hum aako 

telegram chalane ke fayade ke bare me batane wale he.


Telegram chalane ka kya fayada he??

Image

#1. Telegram chalane ka sabse bara fayada ye he ki aap telegram me apna telegram channel bana kar paisa kama sakte he.

#2. telegram me aapko bots ka features mil jata je aur ye bots ka features aapke liye bahut hi kam ke features ho sakte he hum aapko kuch bots ke bare me bata de rahe he.

1. Chatgpt- ye ek aisa bot he jiske madat se aap koi bhi sawalo ka answers bare hi aasani se ba sakte ho. Aur ye bot students ke liye kafi helpfull he.

2.gamee- ye ek aisa bot he jiske madat se aap apne mobile me bina kisi game download kiye games khel sakte ho.

3. Ai background remover. Ye ek bahut hi Kamal ka bot he iske madal se aap kisi bhoto ka back ground bare hi aaram se remove kar sakte he.

To dosto ye thi telegram ki kuch Kamal ke bots jisko aap bare hi aasani se use kar sakte ho.

Ab aapke man ye khayal aaya hoga ki aapko telegram mee bots milega kaise 

iskeliye aap telegram se search option me Jana aur us bots ke nam search karna he aapke samne ye bots aa jaiga jise aap bare hi aasani ke sath use kar sakte ho.

#3. Telegram chalane ka sabse bara ek ye bhi fayda he ki isme aap viedo voice message bhi apne dost ya family ko send kar sakte he.

#4. Telegram me aise bahut sare channel mil jata he jisme aapko bilkul free me koi sa bhi movie ya web series download kar sakte ho.

Uper aapko humne telegram ke fayda ke bare me bataya he lekin ab hum aapko telegram ke nuksan ke bare me batane wale he.

Telegram channel ka kya nuksan hota he??

Image

Jaisa ki hum sabhi log jante he ki jis bhi saman ka advantage hota he usi lekin saman ka bahut sare disadvantages bhi hota he thik isi prakar telegram ke fayada se sath sath kuch nuskan bhi he jisse hum janne wale he.

#1. Telegram chalane ka sabse bara ye nuksan he ki ise kafi fraud telegram 

channel mil jate he jiske chakkar me aakar user ko kafi nuksan bhi ho jata he 

telegram chalate samay aapko fraud channel se bach ke rahana he.

#2. Telegram use karte samay aapko bahut sare fake message aate he jisse aapko 

Bach ke rahana ya us message ko block kar dena he nhi ye fake message wale aapke sath fraud bhi kar sakte he.

#3. Telegram me aapko kuch aise ecommerce channel bhi milte he jo bahut hi kam 

rate me aapko product provide karate he ye sab bilkul fake hota hota he in Sab se aapko Bach ke rahana he.

#4. Telegram me bahut sare popular logo ka ya popular youtuber ka nam ka log 

fake account ya fake group banate he aur inka sirf ek hi maksad hota he logo se 

paisa lena. To dosto aapko aise fake channel se bach se rahana he

To dosto humne aapko telegram ke kya kya nuksan he uske bare me bhi bata diya he

FAQ

Telegram chalan safe he??

Ans- ji ha telegram use karna bilkul safe he

Telegram kab launched hua tha??

Ans- telegram sabse pahle iOS ke liye 13 August 2013 ko launched hua tha aur Android user ke liye 20 October 2013 ko launched hua tha.

Telegram me viedo call ka option he??

Ans- ji ha aap whatsapp ke tarah isme bhi aap viedo call kar sakte he.

Telegram ke owner ka nam kya he??

Ans- Telegram ke owner ka nam pavel durov he.

Telegram kis desh ka he???

Ans- telegram Russia desh ka he.

Aapne mere post se jana he 

1. Telegram kya hota he.

2. Telegram me account kaise banaye.

3. Telegram aur WhatsApp me kya different he.

4. Telegram ka kuch advance features.

5. Telegram। Chalane ka kya fayada he. 

6. Telegram chalane ka nuksan kya kya he.

Conclusion- To aaj apne maine is post se aapko telegram ke bare  lagbhag sabhi jankari de ki he telegram kaise chalaye telegram me account kaise banaye and telegram aur WhatsApp me kya different he aur bhi bahut sari jankari humne aapko telegram ke bare me di he. Asha karta hu aaplogo mera post pasand aaya hoga..

Thanks ๐Ÿ‘












Post a Comment (0)
Previous Post Next Post